kya ravan ko jalte dekha hai
ya ravan ka jalna dhokha hai
ravan sachmuch jal jaata hai
ya ram vijay ek dhokha hai
das ke das sheesh ravan ke
haste hai ek ek karke
jab hota hai desh mein
chhal, kapat, au bhrashtachar
chori, apaharan ya balatkar
beeso bhujaye ravan ki
desh mein faila rahi
bhukhmari aur bimari
hinsa aur berojgari
aur pehle ravan ek tha
aaj bahutere ravan hai
aur pratyek ravan aaj ka
karta anek apaharan hai
aur aaj ram bhi prabal nahi
karta jo wo chhal nahi
jaan jaanki ki hai jaati
sita dehen ho jata hai
agni bhi hai ravan ki saathi.
pratyek varsh uk dashmi par
jo jitne ravan jalte hai
kaise ravan unko maane
kagaj ke putle hote hai
par pal-pal jo is dharti par
nit itne ravan bante hai
ye sach mein ravan hote hai
ya ravan se badhkar hote hai
kya hoga, putlo ko jalakar
vijaydashmi, diwali manakar
keval vaya au dhavni pradushan
jalana hai us ravan ko
jo hai manavta ka dushman
